raah e talab pe chalna to kehnay ko asaan hai
jub ghor andheray chaatay hain
aur rahi dur dur girta hai
to kehta hai bus yehi baat
kai raah ghalat hi chunli thi
wo girna haar samajhta hai
wo phir uthnay se darta hai
bus yehi khata hai rahi ki
ke girkay wo dur jata hai
hur ana ussay ye kehti hai
"tu chorday raho pe chalna
aur younhi baith ke rota ja,
ke rah pe chalna asaan tha,
pur kaun chalay in rahon pe,
wo chalnay walay koi aur thay yaro
jo rahon pe bus chul niklay"
Jin chalnay walo ki baat kari
wo kitna girtay padtay thay
pur yar meray ye jano tum
wo gir gir pul pul sumbhaltay thay
aur uth ke phir se younhi
us rah pe dil say chaltay thay
na girna koi jeet nahin!
aur girna koi haar nahin!
baat hai sari jazbay ki
jo talab teri suchchi hai
to rahain teri apni hain
in rahon ka koi khauf nahin
hur manzil teri apni hai....